Popular posts from this blog
Republic of India
Happy Republic day Ye Bharat desh mahaan hai. ye mera desh mahaan hai. Iske leharaate kheton ka, ann hum sabne khaya hai. kal kal karti nadiyon se, sheetal jal humne paaya hai. Iske utpaadit vastra se apana tan bhi dhak paaya hai. isaki paawan shaalaaon mein gyan sada humne paya hai. isake har ek nar-naari se pyar sabhi hi paate hain. isaki pyari mitti ko hum apana sheesh jhukate hain. Iss paawan bhumi mein humne, apana jeevan safal banaya hai. ye swarg se bhi mahaan hai, ye mera desh mahaan hai.








Comments
Post a Comment